Sab Kuch Toh Paa Liya Hai,
Phir Bhi Dil Bechain kyun hai ?
yeh Kaisi anjaani
khalish Hai
iska ehsaas din-rain kyun hai?
Ek nayi Manzil ki firaaq mein
Mann bhatakta hai darbadar
Ab bhi adhura lage yeh kaarwaan
Ki mila nahin mere khwaabon ka Nagar
Zinda Hoon fir bhi Bejaan sa kyun hoon?
Dil ka
haal Jaan Kar Bhi
Dil ki baat se Itna Hairaan sa Kyun hoon?
Aaram ka yeh waqt hai ,par Aaram ki Aadat Nahin
Awarapan ko Gale Laga Lun, Aisi Meri fitrat
Nahin
Manzil ki
tishnagi mein, Safar ka maza bhul gaya
Awarapan se bhaagte
bhaagte
Main waakai
awara ho gaya
Manzil Khud
chalkar Aaegi Mera Dil Mujhse yeh Kehta Hai
Jis Nagar Ki
Talash Thi ab vahin par Tu rehta Hai
Bechainiyon se mat ghabra woh Teri betaabi hai
Apne dil ki
Sun Le, Saccha vahi Tera Humrahi hai
Woh Kehta
Hai manzil ki mat Soch Manzil toh tu paa hi Jayega
Par Safar ka lutf uthane ka
Jo mauka ab Aaya Hai
Apni bechaini Mein kho kar
Phir use gavayega

No comments:
Post a Comment