Friday, May 29, 2020

Shaayari 4

Shaayari mein Aashiqui ka zaayka daalna aam ho gaya..
Aashiqon ne kiya Shaayari ka koi Lihaaj nahi..
Humein bhi ek Aashiq samajhne ki gustaakhi na karna..
Humaari shaayari kisi ghazal ki mohtaaj nahi..


 शायरी में आशिकी का जायका डालना आम हो गया 
आशिकों ने किया शायरी का कोई लिहाज नहीं 
हमें भी एक आशिक समझने की गुस्ताखी ना करना 
हमारी शायरी किसी गजल की मोहताज नहीं ।

Saturday, May 23, 2020

Shaayari 3

Woh kehte hain Ki ishq mein nakaam kaun ho sakta hai
Un par toh ishq ka suroor hota hai..
Main kehta hu Ki nakaam hi hote hain ishq mein woh..
Jinhe ishq se zyada use khud pe guroor hota hai..

वो केहते हैं कि इश्क में नाकाम कौन हो सकता है 
उनपर तो इश्क का सुरूर होता है 
मैं केहता हूँ कि नाकाम होते हैं वो
जिन्हें इश्क से ज्यादा खुद पे गुरूर होता है ।  


 

Wednesday, May 20, 2020

Shaayari 2

Mohabbat ka mujhpar yeh ilzaam hai ki meri  shaayari bas ek fareb hai...
Ki usko haasil karne ki yeh meri koi chaal hai..
Mohabbat se kehta hu main, ki dosh tera bhi kuch kam Nahin..
Ki ho chuka hoon deewana tere husn ka, jiska bichaaya tune yeh jaal hai..


मोहब्बत का मुझपर ये इल्जाम है कि मेरी शायरी बस एक फरेब है ,
कि उसको हासिल करने की ये मेरी कोई चाल है।
मोहब्बत से कहता हूँ मैं, कि दोष तेरा भी कुछ कम नहीं,
कि हो चुका हूँ दीवाना तेरे हुस्न का, जिसका बिछाया तूने ये जाल है।

Shaayari






Woh Mohabbat Bhi Kya Mohabbat Jo Kisi Ko Jaan ne Se Hoti Hai
Sacchi Mohabbat Ka ilm toh kisi ke sath judne Se Hota Hai
Jaanna, Waqt bitaana ,yeh sab to Zamaane ki Banaai Gai fizul Si Shartein Hain
Mohabbat Ki Haar  aksar  Inhi sharton Ko Maan ne Se Hoti Hai

वो मोहब्बत भी क्या मोहब्बत जो किसी को जानने से होती है 
सच्ची मोहब्बत का इल्म तो किसी के साथ जुड़ने से होता है ।
जानना, वक्त बिताना, ये सब तो जमाने की बनाई गई फिजूल सी शर्तें हैं 
मोहब्बत की हार अक्सर इन्हीं शर्तों को मानने से होती है ।

Monday, May 18, 2020

Veeraan Mann

Khayaalon ne jaise dastak dena hi bandh kar diya,
Yeh veeraan mann ab bechain hone laga hai,
Jis ko padhkar kora kaagaz bhar leta tha
Woh Mann bhi ab kora hone laga hai,

Jab zindagi ke aaine mein khud ko talaasha tha,
tab shabdon ki kaarigari se maine kuch taraasha tha,
woh khayaalon ka mahal sang-e-marmar ka naa sahi,
uski khoobsurti mein magar, hai kashish ab bhi wahi,

Lafzon se sajaa ke, ek naya afsana bayaan karu,
Mere yaar-doston ka ab yeh sujhaav hai,
Unki yeh khwaahish puri na kar paa raha,
Kyunki mandraa raha gumnaami ka khauf ab bhi,
aur pad raha shauhrat ka dabaav hai..

Shauhrat toh sirf ek chalava hai, 
Jisne mere mann mein ghar kar liya,
Aur gumnaam ka darr bhi bewajah tha,
jise maine apne andar bhar diya.

Ab karna iss darr ko inkaar hai,
Ki mere shabdon ka jaal bunta hai meri Mohabbat se,
Aur yaad dilana hai iss veeraan dikhte mann ko
Ki woh ab bhi ek nayaab fankaar hai.

Maaloom hota hai ki safar phir se shuru karna padega
 Apne andar ki ek nai manzil talaashne ke liye
Kyunki jisko maana tha mahal, woh sirf ek minar hai,
sahara lena baaki hai, naye khayaalon ka, naye alfaazon ka
Apne mann ke mahal ko taraashne ke liye.




Sunday, May 3, 2020

Mediation by Meditation

Channelizing my inertia, as i close my eyes..
I embark upon a journey,
where an answer to each question lies.

I sense my physical structures attached,
and also begin to find myself,
floating above the same, completely detached..

This exile from my body is but momentarily,
yet those moments seem to last for eons,
In those eons i differentiate real from virtual,
I the spiritual, witnesses I the sensual

I feel the breeze of tranquility, yet i don't revel,
I see the torment of my thoughts, desires and feelings, yet i don't rebel..
I feel enlightened and hold no grudge,
I see my ignorance which i don't judge..

I nurture and appease like a mother,
I also instruct and guide like a father

To let the spiritual me pacify the sensual me,
and the sensual me acknowledge the spiritual me,
I choose this internal pilgrimage,
to let them work in synergy,
for that is when one can reach the path 
of infinite energy.

That energy which on return i experience as i radiate,
Allaying my doubts and my trepidation,
For I bring peace between the two,
Performing the Mediation by Meditation